Maqsad e safar Aashna mosafir By Maulana Ali Akbar Abdullah bin Abbas nakl karte hain jis waqt Imam Husain (a s)Iraq jarahe the main...
Maqsad e safar Aashna mosafir
By Maulana Ali Akbar
Abdullah bin Abbas nakl karte hain jis waqt Imam Husain (a s)Iraq jarahe the main aap se milne gaya aur kaha ai farzande Rasool aap ko khuda ki qasam Iraq na jaey is safr ko tark kar dijiye imam ne farmaya ai Abbas ke bate kiya tum nahin jante ki sae zameene Karbala Iraq mare bawafa ashaab ki jaae shadat hai main ne kaha yeh khabar kahan se mili kaha yeh on razon main se aik raaz jise main aagah hoon aur who aisa illm hai jo mujhe ata howa hai dalailul Imamat (pg74)
behaqi ne apni tareekh main likha hai ki Rasool (saw) ne Imame Husain se farmaya bahisht main aik darja hai jis par shaheed hi hokar tum pahuchoge saheefae Karbala(pg 80) lihaza jab dushman ki fouj imam se jug ki taiyaari kar rahi thi aap ko yeh illm tha ki aap shaeed hoge is liy sabr se kaam liya aur hargiz beqaraar aur betaab na howey yhan tak ki darjae shadat par faiz hoga e Muqtalul Husain khowarzami pg170) Allama Majlisi kahte hain Madine se Macca ki taraf rwangi ke waqt Umme Salma Imam ke passaeen aur kaha beta Iraq ki raraf safar karke mujhe gam zadh nakaro be shak tuhare jud rasool se suna hai ki farmaya mara bata Iraq main os sar zameen par qatl kiya jay ga jse Karbala kahte hain saheefa e Karbala (pg - 89
Imam e Husain (as) ne farmaya nani jaan khuda ki qasam main os kaam ke natij e bakhoobi waqif hoon lakin os raah ke ikhtyar kar n eke ilawa koi chara nahi khoda ki qasam main jaanta hoon ki mujh ekahan aur kis din shaeed kiya jayga main os sukhs ka naam bhi jaanta hoon jo mujhe shaheedkarega os jagha se bhi waqif hoon jahaan mujhe dafn kiya jayga main yeh bhi jaanta hoon ki mare ahlebait aur shiyon main koun koun mare saath shaheed hoga agar aap kabala ka yeh manzar dekhna chaheti hain to dekhiy os ke baad Imam Husain (as) ne Kabala ki taraf apne dast e mubarak se ishaara kiya ( yaqinan Imame Husain (as) ne Umme Salma ko karbala ka munzar dikhaya tha aour onho ne apni aankhoon se who dekh liya tha jo aankhain dekhti hain) UmmeSalma beqaraq hogain aour roote howey kaha khuda hafiz . Beharul Anwar vl 44 pg 332 .
Contact Maulana www.qummi.com


