Mommad Islam ibne sheikh bahadur Ali , sakin Muhalla Bazaar bhua, thae.Yeh Kushti main maher thae aur aksar Inamaat waghirah bhee patae th...
Mommad Islam ibne sheikh bahadur Ali , sakin Muhalla Bazaar bhua, thae.Yeh Kushti main maher thae aur aksar Inamaat waghirah bhee patae thae. Yes sum o salat kae paband thae aur mazhabi muamlaat main sakht thae.
Sheikh Mohammad Islam ek behtareen zakir e sayyid e shohda thae aur Imambada Chamman kae zakir thae.
Moajza: Ek saal Sheikh Mohammad Islam, shab e ashoor apnae gher kae saamne chauk pae Tazia rekh kae imambara chamman main zakiri kae liyae gaye.Wahaan sae sabzi Bazaar madad Ali kae azakhane gaye aur baad nazro Niyaaz jab apnae gher wapas aa rahae thae toh kazi mohammad Jamiullah kae pesar e mulla khalilullah Kazi jaunpur nae unko dangae fasaad kae der sae giraftaar ker liya. Yeh waqeya Bazaar alif khan urf Kazi ki gali main hua. bahut sifarish ki gayee lekin koi asar na hua.
Sheikh Mohammad Islamil kae bhai Ali aur unki zaoza nae chaha ki apnae chauk ka tazia dafan ker diya jae lekin Sheikh mohammad islamil nae ijazat na dee aur tazia zeenat e Chauk bana reha.
Unki Jaoza din raat Aima e masoom aur shaheedan e karbala kae waastae sae dua kiya kerti raheen aur sheikh mohammad Islam qaid khane kae andarooni hissae main apki begunahi ki fariyaad Allah sae kertae aur rootae rehtae thae.
19 safer ko Sheikh Mohammad Islam pae jab ki woh dua main masroof thae achanak ghunoodgi taree ho gaye. Kisee nae kehaan jao tum azaad ho. Unki yahee basharat unki Jauza nae bhi suni aur shaeikh Islam kae bhai ko bataya.
Sheikh Mohammad Islamil jab hoosh main aayae toh dekha unki baediyaan khuli hain aur qaid khane ka darwaza bhi khula hai. Jab woh baher nikal rahae thae toh pehrae daroon nae unko rooka oar kazi ko khaber dee. Kazi nae unko nahin rooka aur azaad ker diya.
Sheikh Mohammad islam bas waheen sae logoon ko ittela detae huae gher aayae. Jab momineen jama ho gaye , majlis ki aur woh tazia jo shab e ashora chauk pae rekha geya tha, woh 19 safer ko utha. (Allah humma sallae ala mUhammad wa aal e Muhammad.
Chauk Muhammad Islam sae sader Imambara bahut qareeb hai. Lekin is khyaal sae kae aurtein bhee, apne gharoonsae ziarat ker sakein. Qazi Jamil ullah sahb, Qazi jaunpur nae bhai khwahish zahir ki kae, yeh juloos unkae darwaze sae ghuzrae, Isliyae Tazia utha toh Chauk Muhammad Islam , bazaar bhua sae mahallah chatatar muhallah kothia, muhalla tola, muhallah bara duariya, muhallah hamam darwaza, muhalla sheikh mahamid, muhalla ajmeri,Muhalla bazaar alif khan, kazi ki gali,muhallah muhalla umer khan, zaer e masjid qalaan, muhalla arzaq,Muhalla naqi phatak, Muhallah bagh e hashim,,Muhalla daliyana tola, muhallah sheikh buhanuddin pura, Muhallah maqdoom shah badae, muhallah bazaar tola, rani bazaar,muhallah nasir khwaan,Chatri ghat, Muhallah nawaab gazi ka kuwaan,Muhallah jagdishpur,begum ganj , hota hua sader Imambadae tak aaya aur dafan ker diya geya.
Is zuloos ka yeh raasta mustaqil ho geya jo ki ab tak hai. 19 safer ka yeh tazia sheikh muhammad Islam her saal usi tareekh ko uthane loagae. Unki is rehai ka waqeya ajeeb muazaana taur pae waqoo main ayaya tha. Baaz rawaetoon sae yeh bhee zahir hai ki, aseeran e karbala reha ho kae, 19 safer ko karbala main pahunchae thae.
Shahar kae aur bhee azakhanoon kae tazia bhee, isee tareekh main uthne lagae.aur sab kae sab ek kae ek,Islam kae taziae kae saath raastae main, shamil hotae jatae hain. Aagae islam ka tazia hota hai, aur uskae baad doosrae azakhanoon kae taziae rehtae hain. yeh juloos shaam ko sader imam bara pahuch kae tamam hota hai. Saath main Muataddid, tabal baja kertae hain.Moninees girooh der girooh matam main masroof aur dushminaan e aal e rasool(s.a.w) kae izharae barat kertae huae chaltae hain. Majma kaseer hota hai.
Aaj kae daur main 18 aur 19 safer ko isee Islam kae chauk pae saiyeda ka laal ka chehallum hua kertae hai aur kaee lakh mominoon ka majma hota hai.
Ab yeh tazia shab e Ashoor ko na rekh kae 18 safer (shab e 19) raat 8 bajae rekha jata hai aur raat bher maqami anjuman e matam, girya, seena zani kerti hain. Yeh tazia mannt muraad poori honae kae maam laat main bhee bahut mashoor hai. Aur yahaan maangi dua radd nahin hoti.
19 safer waqt Zuhar yeh tazia baad sooz khwani aur majalis, uthaya jata hai aur aaj bhi yeh usee ooper batae poorane raastae sae hota hua sadar imambara jata hai. Is tazia kae saath ek turbat bhi utha kerti hai , jisae bhee ek mojaza mansoob hai.
Is Chehallum kae Juloos aur Mojazae sae yeh bhee zahir hota hai, ager koi naek niyat, aqeedat kae saath, shohda e Karbala ki azadari kerae toh Allah usae her qaid sae azaad kerega, aur yehi Mujza Shaikh Mohamamd Islamil maroom kae saath hua. Jis tarah Allah nae shaikh Islam ko qaid sae rehai dilwaye , Usee tarah Allah her azadaar e Husain (a.s) ki muraad poori kerae. Ameen
wassalam
Syed Mohammad Masoom



